din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se
KHalq ne dekhe lahu mein raat ke anwar se
uD gaya kala kabutar muD gai KHwabon ki rau
saya-e-diwar ne kya kah diya diwar se
jab se dil andha hua aankhen khuli rakhta hun main
us pe marta bhi hun ghafil bhi nahin ghar-bar se
KHak par uDti bikharti purza purza aarzu
yaad hai ye kuchh hawa ki aaKHiri yalghaar se
ab to barish ho hi jaani chahiye us ne kaha
taki bojh utre purani gard ka ashjar se
ishq to ab sher kahne ka bahana rah gaya
harf ko rakhta hun raushan shoala-e-afkar se
shahr ke naqshe se main miT bhi chuka kab ka 'zafar'
chaar-su lekin chamakte hain mere aasar se
Ghazal
Din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se
Ahmad Zafar