din ho ki raat kunj-e-qafas ho ki sehn-e-bagh
aalam-e-rozgar se hasil nahin faragh
raghbat kise ki lijiye aish-o-tarab ka nam
fursat kahan ki kijiye sahba se pur ayagh
virana-e-hayat mein aasuda-KHatiri
kis ko mila is aahu-e-ram-KHurda ka suragh
aasar-e-ku-e-dost hain aur pa-shikastagi
KHushbu-e-zulf-e-yar hai aur hum se be-dimagh
kis ki jabin pe hain ye sitare araq araq
kis ke lahu se chand ka daman hai dagh dagh
karte hain kasb-e-nur isi tirgi se hum
'anjum' hain dil ke dagh guhar-ha-e-shab-charagh
Ghazal
Din ho ki raat kunj-e-qafas ho ki sehn-e-bagh
Anjum Rumani