din hai be-kaif be-gunahon sa 
na-kushada sharab-gahon sa 
kuchh faqirana be-niyazi bhi 
kuchh mizaj apna baadshahon sa 
dil dar-e-mai-kada sa wa sab par 
ghar bhi rakhte hain KHanqahon sa 
sab pe khulte nahin magar mere sher 
haal hai kuchh teri nigahon sa 
aa gaya hai bayan mein kyunkar 
pech-o-KHam sara teri rahon sa 
kuchh nafas mein sharab ki si mahak 
kuchh hawa mein nasha gunahon sa 
ujli ujli pahaDiyon par 'zeb' 
rang utra hai jalwa-gahon sa
        Ghazal
Din hai be-kaif be-gunahon sa
Zeb Ghauri

