din Dhala shab hui charagh jale
bazm-e-rindan mein phir ayagh jale
dafatan aandhiyon ne ruKH badla
na-gahan aarzu ke bagh jale
aas Dubi to dil hua raushan
bujh gaya dil to dil ke dagh jale
jal-bujhe justuju ke parwane
mustaqil manzil-e-suragh jale
gah masrufiyat sulag uTThe
gah tanhai o faragh jale
aankhen karti hain shabnam-afshani
jab teri yaad mein dimagh jale
un ka chehra tah-e-naqab 'aKHtar'
jaise parde mein ek charagh jale
Ghazal
Din Dhala shab hui charagh jale
Akhtar Ziai