din Dhala sham hui phul kahin lahrae
sanp yaadon ke mahakte hue Dasne aae
wo kaDi dhup ke din wo tapish-e-rah-e-wafa
wo sawad-e-shab-e-gesu ke ghanere sae
daulat-e-tab-e-suKHan-go hai amanat us ki
jab teri chashm-e-suKHan-saz talab farmae
justuju-e-gham-e-dauran ko KHirad nikli thi
ki junun ne gham-e-jaanan ke KHazine pae
sab mujhe mashwara-e-tark-e-wafa dete hain
un ka ima bhi ho shamil to maza aa jae
kya kahun dil ne kahan saint ke rakkha hai use
na kabhi bhulne paun na mujhe yaad aae
main ne hafiz ki tarah tai ye kiya hai 'abid'
baad-azin mai na KHuram be-kaf-e-bazm-arae
Ghazal
Din Dhala sham hui phul kahin lahrae
Syed Aabid Ali Aabid