din Dhala jata hai sham aati hai ghabraata hun main
Dubta jata hai suraj Dubta jata hun main
ek Thikana tha jahan bahla liya karta tha dil
aaj us mahfil ko bhi zer-o-zabar pata hun main
aa gai hai yaad aaj apne dil-e-marhum ki
sari duniya sog mein Dubi hui pata hun main
meri guzri zindagi aawaz deti hai mujhe
ai mughanni band kar naghma ki ghabraata hun main
rafta rafta ishq is manzil mein laya hai mujhe
dard uThta hai kisi ko aur taDap jata hun main
tum wahi mahfil wahi mahfil ki ranai wahi
in dinon kuchh apne hi ko dusra pata hun main
ye safedi hai sahar ki ya tamanna ka kafan
hae kya pana tha kya waqt-e-sahar pata hun main
raushni deta hun sab ko ek bujhe dil se 'nazir'
apni sard aahon se har mahfil ko garmata hun main
Ghazal
Din Dhala jata hai sham aati hai ghabraata hun main
Nazeer Banarasi