din bhar ke dahakte hue suraj se laDa hun
ab raat ke dariya mein paDa Dub raha hun
ab tak main wahin par hun jahan se main chala hun
aawaz ki raftar se kyun bhag raha hun
rakhte ho agar aankh to bahar se na dekho
dekho mujhe andar se bahut TuT chuka hun
ye sab teri mahki hui zulfon ka karam hai
ek sans mein ek umr ke dukh bhul gaya hun
tu jism ke andar hai ki bahar hai kidhar hai
'alwi' meri jaan kab se tujhe DhunD raha hun
Ghazal
Din bhar ke dahakte hue suraj se laDa hun
Mohammad Alvi