din bhar ghamon ki dhup mein chalna paDa mujhe
raaton ko shama ban ke pighalna paDa mujhe
Thahri hi thi nigah ki manzar badal gaya
rukna paDa mujhe kabhi chalna paDa mujhe
har har qadam pe jaanne walon ki bhiD thi
har har qadam pe bhes badalna paDa mujhe
rangon ke intiKHab se ukta ke ek din
rangon ke daere se nikalna paDa mujhe
duniya ki KHwahishon ne meri rah rok li
duniya ki KHwahishon ko kuchalna paDa mujhe
barish kuchh itni tez hui ab ke tanz ki
gir gir ke bar-bar sambhalna paDa mujhe
har aashna nigah yahan ajnabi lagi
majbur ho ke ghar se nikalna paDa mujhe
Ghazal
Din bhar ghamon ki dhup mein chalna paDa mujhe
Wali Aasi