din bahut saffak nikla raat sab dukh sah gai
dant mein ungli dabae sham tanha rah gai
sang-rezon ki tarah bikhri paDi hain KHwahishen
dekhte hi dekhte kis ki haweli Dah gai
sandali KHwabon mein lipTe the hazaron azhdahe
aur phir tasir jism-o-jaan mein tah-dar-tah gai
be-murawwat saaton ko roiye kyun umr bhar
ek shai aankhon mein jo rahti thi kab ki bah gai
ghar ki diwaron pe sabza bin ke ugna tha mujhe
ek hawa sahra se aai kan mein kuchh kah gai
Ghazal
Din bahut saffak nikla raat sab dukh sah gai
Khursheed Akbar