din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae
ek badan aur meri ruh ko hasil ho jae
morche kholta rahta hun samundar ke KHilaf
jis ko miTna hai wo aae mera sahil ho jae
khel hi khel mein chhu lun main kinara apna
aise soun ki jagana mujhe mushkil ho jae
lag ke bimar ke sine se na rona aise
zindagani ki tarah maut bhi mushkil ho jae
rakh rahe hain tere patthar mere zaKHmon ka hisab
ab ye majma bhi mere kashf ka qael ho jae
is qadar der na karna ki ye aaseb-nagar
raat ka rup le aur jism mein daKHil ho jae
jang apnon se hai to dil ko kinare kar lun
raste mein yahi talwar na hael ho jae
Ghazal
Din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae
Nomaan Shauque