اردو हिंदी
Din aise yun to aae hi kab the jo ras the | Shaahi Shayari
din aise yun to aae hi kab the jo ras the

Ghazal

Din aise yun to aae hi kab the jo ras the

Zuhoor Nazar

;

din aise yun to aae hi kab the jo ras the
lekin ye chand roz to behad udas the

un ko bhi aaj mujh se hain lakhon shikayaten
kal tak jo ahl-e-bazm sarapa sipas the

wo gul bhi zahr-KHand ki shabnam se aT gae
jo shaKHsar-e-dard-e-mohabbat ki aas the

meri barahnagi pe hanse hain wo log bhi
mashhur shahr bhar mein jo nang-e-libas the

ek lafz bhi na meri safai mein kah sake
wo sare mehrban jo mere aas-pas the

tera to sirf nam hi tha to hai kyun malul
bais mere junun ka to mere hawas the

wo rang bhi uDe jo nazar mein na the kabhi
wo KHwab bhi luTe jo qarin-e-qayas the