اردو हिंदी
Din agar chaDhta udhar se main idhar se jagta | Shaahi Shayari
din agar chaDhta udhar se main idhar se jagta

Ghazal

Din agar chaDhta udhar se main idhar se jagta

Muneer Niyazi

;

din agar chaDhta udhar se main idhar se jagta
husn sara mashriqon ka sath mere jagta

main agar milta na us se is azal ki sham mein
KHwab in diwar-o-dar ka dil mein kaise jagta

hai misal-e-baad-e-gulshan jagna us shoKH ka
rang jaise dur ka rangon ke pichhe jagta

ab wo ghar baqi nahin par kash us tamir se
ek shahr-e-arzu aankhon ke aage jagta

chand chaDhta dekhna behad samundar par 'munir'
dekhna phir bahr ko us ki kashish se jagta