dimagh un ke tajassus mein jism ghar mein raha
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein raha
wo KHak chhanne walon ka dard kya jaane
tamam umr jo mahfuz apne ghar mein raha
main ham-kanar kabhi ho saka na manzil se
hamesha halqa-e-aKHlaq-e-rahbar mein raha
main jis ke waste bhaTka kiya zamane mein
wo ashk ban ke sada meri chashm-e-tar mein raha
miTa saka na adawat zamin par insan
kabhi KHala mein kabhi 'anjum'-o-qamar mein raha
Ghazal
Dimagh un ke tajassus mein jism ghar mein raha
Anjum Siddiqui