اردو हिंदी
Dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka | Shaahi Shayari
dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka

Ghazal

Dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka

Arman Najmi

;

dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka
ki dida-war bhi hai ab ham-safar andhere ka

dayar-e-nur mein har samt KHak uDne lagi
wajud hone laga mo'atabar andhere ka

ye rasta to charaghon se jagmagata hai
idhar se hone laga kyun guzar andhere ka

ab is ke phulne-phalne mein din hi kitne hain
jaDen jama to chuka hai shajar andhere ka

yahan to raushniyon ka paDaw hota hai
to kya yahin pe basega nagar andhere ka

sisakti shamon ka ye aaKHiri Thikana hai
shurua hoga yahin se safar andhere ka

basiraton ke amin hain hamin magar hum ne
basa liya hai rag-o-pai mein Dar andhere ka

manao KHair ujalon ke baam-o-dar walo
faza mein raqs-kunan hai sharar andhere ka

wo apne sath to le kar charagh chalte the
shikar kyun hue ahl-e-nazar andhere ka