dimagh-o-dida-o-dil bar-sar-e-paikar hote hain
mohabbat ki kahani mein kai kirdar hote hain
ye duniya bagh-e-zeba hai magar chashm-e-tamasha mein
sar-e-shaKH-e-tamanna phul bhi do-chaar hote hain
kisi se ishq ho jaane ko afsana nahin kahte
ki afsane mata-e-kucha-o-bazar hote hain
KHayalon mein kahin naghma kahin ghuncha kahin sahba
dam-e-nazzara ye nazuk badan talwar hote hain
kisi pur-pech rasm-e-dosti ka ma-hasal ye hai
ghanere jangalon ke raste hamwar hote hain
safai se kaho jo kuchh kaho kyun zaKHm dhote ho
masiha kah ke hum qatil ke jaanib-dar hote hain
Ghazal
Dimagh-o-dida-o-dil bar-sar-e-paikar hote hain
Syed Amin Ashraf