dimagh arsh pe hai KHud zamin pe chalte hain
safar guman ka hai aur yaqin pe chalte hain
hamare qafila-salaron ke irade kya
chale to han pe hain lekin nahin pe chalte hain
na jaane kaun sa nashsha hai un pe chhaya hua
qadam kahin pe hain paDte kahin pe chalte hain
bana ke un ko agar chhoD do to gir jaen
makan nae ki purane makin pe chalte hain
jahan tumhaara hai tum ko kisi ka Dar kya hai
tamam tir jahan ke hamin pe chalte hain
Ghazal
Dimagh arsh pe hai KHud zamin pe chalte hain
Bekal Utsahi