اردو हिंदी
Dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to | Shaahi Shayari
dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to

Ghazal

Dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to

Arshad Siddiqui

;

dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to
sahar bhi rup dikhaegi shab guzaro to

faza ke sine mein naghmon ke lai utaro to
usi ada se zara phir mujhe pukaro to

mere ghamon ke dhundalke bhi chhaT hi jaenge
tum apne gesu-e-shab-rang ko sanwaro to

kahan gae mujhe tarikiyon mein uljha kar
hayat-e-rafta ke lamho zara pukaro to

KHizan-rasida fazaon ko rooge kab tak
bahaar gosh-bar-awaz hai pukaro to

phir is ke baad sahar hi sahar hai ai 'arshad'
ruKH-e-hayat ke tewar zara nikhaaro to