dilon se KHauf ke aaseb-o-jin nikalta hai
wahi charagh jalata hai din nikalta hai
ajib tesha hai mazdur ka pasina bhi
pahaD kaT ke rasta kaThin nikalta hai
ye baadshah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikalta hai
zara si der mein koi gulab toDega
jo apne coat ke collar se pin nikalta hai
usi ke nam se mansub hai ghazal apni
jo nam phul khilata hai din nikalta hai
Ghazal
Dilon se KHauf ke aaseb-o-jin nikalta hai
Anjum Barabankvi