dilon pe zaKHm laga ke hazar guzri bahaar
gai hai chhoD ke ek yaadgar guzri bahaar
mere qarib jo koi gul-e-badan mahka
to aai yaad koi KHush-gawar guzri bahaar
kisi tarah mujhe pagal na kar saki warna
tere baghair bhi aai bahaar guzri bahaar
har ek sarw-e-rawan par guman ki jaise wahi
ho mera mazi meri yaadgar guzri bahaar
mere nasib ka nauha KHizan ye ahd-e-KHizan
tere karam ka fasana bahaar guzri bahaar
Ghazal
Dilon pe zaKHm laga ke hazar guzri bahaar
Ahmad Masoom