اردو हिंदी
Dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua | Shaahi Shayari
dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua

Ghazal

Dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua

Nashir Naqvi

;

dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua
jab ek umr guzari to main jawan hua

jo bolta tha to mujh se shikayaten thi bahut
main chup hua to use KHauf ka guman hua

safar ka hausla rakhta hai uD bhi sakta hai
ye aur baat parinda lahuluhan hua

yahi sabab hai ki har dil mein ja ke basta hai
makan jis ne banae wo la-makan hua

koi to hai jo himayat mein haq ki nikla hai
KHuda ka shukr ki koi to ham-zaban hua

chalo ki pahre uTha den hum apne jine se
ye roz qiston mein marna azab-e-jaan hua

falak ke chand-sitaron pe aa gai raunaq
zamin se kis ka safar ru-e-asman hua

wo ek pyara sa manzar hai meri aankhon mein
laDe khilaunon pe bachche main darmiyan hua

hila na paengi mujh ko ab aandhiyan 'nashir'
main bojh sahte hue peD se chaTan hua