اردو हिंदी
Dilon par naqsh hona chahta hun | Shaahi Shayari
dilon par naqsh hona chahta hun

Ghazal

Dilon par naqsh hona chahta hun

Shariq Kaifi

;

dilon par naqsh hona chahta hun
mukammal maut se ghabra raha hun

sabhi se raaz kah deta hun apne
na jaane kya chhupana chahta hun

tawajjoh ke liye tarsa hun itna
ki ek ilzam par KHush ho raha hun

mujhe mahfil ke bahar ka na jaano
main apna jam KHali kar chuka hun

ye aadat bhi usi ki di hui hai
ki sab ko muskura kar dekhta hun

alag hoti hai har lamhe ki duniya
purana ho ke bhi kitna naya hun