dilon par KHauf bhi tari bahut hai
magar jangon ki tayyari bahut hai
KHirad ki bastiyon ke phunkne ko
junun ki ek chingari bahut hai
sabhi zad mein hain dasht-o-koh-o-insan
ye zarb-e-waqt hai kari bahut hai
purana KHushk patta kah raha tha
hawa mein tez-raftari bahut hai
hum apne dil ki duniya dekhte hain
hamein ye shaghl-e-bekari bahut hai
chale ho us se milne par ye sun lo
use shauq-e-dil-azari bahut hai
nahin hai sath rahna garche aasan
bichhaDne mein bhi dushwari bahut hai
Ghazal
Dilon par KHauf bhi tari bahut hai
Asad Badayuni