dilon mein rahiye jahan ke wale KHuda ke Dhab
ki ho jahan pe na zahir ye hai mera mazhab
mujhe gharaz nahin juz ye ki yar nala se
asar jalawe hai jun dud-e-shola ya-rab
kaha main raat patangon ko shama ke aage
giro ho aankh mein mashuq ki ye kya hai adab
to kahne lage ai 'uzlat' mere se ishq ke nain
nazar mein pas-e-adab hum ko jalna hai matlab
hamari rakhen jo le ja saba so ho kar subh
jalen hain shola-KHurshid par ye dekh tab
jalse hai rakh kahin ishq ka hai ye eajaz
ajab ye cash hai nam halak yahan hai tarab
kaha main tum kun hai rahat ki sai jalna jald
ghamon se chhuTna aur shohrat us se hai matlab
asar hai ishq ka tum se ziyaada shama ke bich
ki umr us ki kai jalte so bhi jaan-bar-lab
Ghazal
Dilon mein rahiye jahan ke wale KHuda ke Dhab
Wali Uzlat