dilon mein KHak si uDti hai kya na jaane kya
talash karti hai pal pal hawa na jaane kya
zara sa kan laga ke kabhi suno gae raat
kahin se aati hai gum-sum sada na jaane kya
musafiron ke dilon mein ajab KHazane the
ziyan safar tha magar rasta na jaane kya
wo kah raha tha na jhankunga aaj subh is mein
mujhe dikhae yahi aaina na jaane kya
dua ke phul ki KHushbu sa phailne wala
wo KHud mein DhunDhta tha gum-shuda na jaane kya
nahin hai kis ki nazar mein ufuq koi na koi
is aankh mein thi koi shai juda na jaane kya
tamam shahr mein gaDhe dhuwen ka manzar hai
likha hua tha yahan ja-ba-ja na jaane kya
wahi bichhaDte dilon ki faza-e-ashk-alud
wahi safar ki purana naya na jaane kya
nikal gaya hai KHalaon ki samt ai 'bani'
nawah-e-jaan se guzarta hua na jaane kya
Ghazal
Dilon mein KHak si uDti hai kya na jaane kya
Rajinder Manchanda Bani