dilon mein farq hai to guftugu se kuchh nahin hoga
chal uTh tishna-labi jam-o-subu se kuchh nahin hoga
na puri ho saki jo aarzu ab tak wo kahti hai
jo puri ho gai us aarzu se kuchh nahin hoga
miyan jab itne sare doston se kuchh nahin bigDa
hamein malum hai ab ek adu se kuchh nahin hoga
gareban KHarjiyyat aur wahshat daKHliyyat hai
lihaza KHarjiyyat ke rafu se kuchh nahin hoga
tafannun ke liye nam-o-numu ki dauD mein hain hum
hamein malum hai nam-o-numu se kuchh nahin hoga
'shujaa' tere hi tahat-al-lafz se kuchh ho to ho warna
ghazal mein shaeran-e-KHush-gulu se kuchh nahin hoga
Ghazal
Dilon mein farq hai to guftugu se kuchh nahin hoga
Shuja Khaavar