dilon mein dard hi utna kashid rakkha hai
ki aankh aankh ne aansu kashid rakkha hai
qital zulm-o-tashaddud fasad aag dhuan
hamare shahr mein ab kya mazid rakkha hai
na jis se hall-e-masail ki rah nikle koi
usi ka nam to guft-o-shunid rakkha hai
uDi hai jab se parindon ki wapsi ki KHabar
har ek shaKHs ne pinjra KHarid rakkha hai
bata rahe hain 'tasawwur' ye shahr ke haalat
kisi ki pusht pe dast-e-yazid rakkha hai
Ghazal
Dilon mein dard hi utna kashid rakkha hai
Yaqoob Tasawwur