dilon mein dard bharta aankh mein gauhar banata hun
jinhen maen pahanti hain main wo zewar banata hun
ghanim-e-waqt ke hamle ka mujh ko KHauf rahta hai
main kaghaz ke sipahi kaT kar lashkar banata hun
purani kashtiyan hain mere mallahon ki qismat mein
main un ke baadban sita hun aur langar banata hun
ye dharti meri man hai is ki izzat mujh ko pyari hai
main is ke sar chhupane ke liye chadar banata hun
ye socha hai ki ab KHana-badoshi kar ke dekhunga
koi aafat hi aati hai agar main ghar banata hun
harifan-e-fusun-gar mu-qalam hai mere hathon mein
yahi mera asa hai is se main azhdar banata hun
mere KHwabon pe jab tira-shabi yalghaar karti hai
main kirnen gundhta hun chand se paikar banata hun

Ghazal
Dilon mein dard bharta aankh mein gauhar banata hun
Saleem Ahmed