dilon ko toDne walo tumhein kisi se kya
milo to aankh chura lo tumhein kisi se kya
hamari laghzish-e-pa ka KHayal kyun hai tumhein
tum apni chaal sambhaalo tumhein kisi se kya
chamak ke aur baDhao meri siyah-baKHti
kisi ke ghar ke ujalo tumhein kisi se kya
nazar bacha ke guzar jao meri turbat se
kisi pe KHak na Dalo tumhein kisi se kya
mujhe KHud apni nazar mein bana ke begana
jahan ko apna bana lo tumhein kisi se kya
qarib-e-naza bhi kyun chain le sake koi
naqab ruKH se uTha lo tumhein kisi se kya
Ghazal
Dilon ko toDne walo tumhein kisi se kya
Saifuddin Saif