dilon ko ranj ye kaisa hai ye KHushi kya hai
ye zulmaton se ujalon ki hamdami kya hai
hawaen shahar se roti hui guzarti hain
dilon mein KHauf ki ye ek lahr si kya hai
udasiyon ki ye parchhaiyan si dur talak
mah-o-nujum ki aankhon mein ye nami kya hai
ye khilkhilate dar-o-baam mein ghuTan kaisi
ye jagmagate makanon mein tirgi kya hai
bhare jahan mein ban-bas ki ye kaifiyyat
har ek samt na jaane ye gunj si kya hai
tere KHayal mein kaTti hai umr phir bhi hum
ye sochte hain ki apni bhi zindagi kya hai
tamazaton mein bas ek KHushk peD ki chhanw
hai jis pe naz bahut wo bhi aagahi kya hai
ye ashk ashk se KHwabon mein raunaqen kaisi
ye dagh dagh tamanna mein tazgi kya hai
mile hain dukh to hamein roz hi tere dar se
magar ye aaj dukhon mein nai KHushi kya hai
Ghazal
Dilon ko ranj ye kaisa hai ye KHushi kya hai
Ahmad Hamdani