dilon ko luTne wali ada bhi yaad nahin
wafa ka zikr hi kaisa jafa bhi yaad nahin
muamalat-e-mohabbat to yaad kya rahte
wo rasm-o-rah ka ab silsila bhi yaad nahin
nikal paDe hain safine hawaon ke ruKH par
KHuda bhi yaad nahin naKHuda bhi yaad nahin
wo kaenat-e-mohabbat hui nazar ojhal
fusun-taraazi-e-rasm-e-wafa bhi yaad nahin
tariq-e-mehr-o-wafa ke chalan to dur rahe
kisi ko wada-e-mehr-o-wafa bhi yaad nahin
jawab mein jo suna tha wo yaad kya hota
hamein to apna sunaya hua bhi yaad nahin
ye waqia hai ki dekha tha KHwab manzil ka
ye hadisa hai ki ab rasta bhi yaad nahin
kabhi suluk kisi ne kiya to tha lekin
rawa bhi yaad nahin narawa bhi yaad nahin
hum un ko yaad dilaen to kya 'rishi' jin ko
niyaz-mandi-e-ahl-e-wafa bhi yaad nahin
Ghazal
Dilon ko luTne wali ada bhi yaad nahin
Rishi Patialvi