اردو हिंदी
Dilon ki rah par aaKHir ghubar sa kyun hai | Shaahi Shayari
dilon ki rah par aaKHir ghubar sa kyun hai

Ghazal

Dilon ki rah par aaKHir ghubar sa kyun hai

Rahi Masoom Raza

;

dilon ki rah par aaKHir ghubar sa kyun hai
thaka thaka meri manzil ka rasta kyun hai

sawal kar diya tishna-labi ne saghar se
meri talab se tera itna fasla kyun hai

jo dur dur nahin koi dil ki rahon par
tu is mariz mein jine ka hausla kyun hai

kahaniyon ki guzargah par bhi nind nahin
ye raat kaisi hai ye dard jagta kyun hai

agar tabassum-e-ghuncha ki baat uDi thi yunhi
hazar rang mein Dubi hui hawa kyun hai