dilon ke rang ajab rabta hai kitni der
wo aashna hai magar aashna hai kitni der
nai hawa hai karen mishal-e-hawas raushan
ki sham-e-dard charagh-e-wafa hai kitni der
ab aarzu ko teri be-sada bhi hona hai
tere faqir ke lab par dua hai kitni der
ab us ko sochte hain aur hanste jate hain
ki tere gham se talluq raha hai kitni der
hai KHushk chashma-e-sahra mariz wadi o koh
nigar-KHana-e-ab-o-hawa hai kitni der
ThiThurte phul pe taswir-e-rang-o-bu kab tak
jhulasti shaKH pe barg-e-hina hai kitni der
Ghazal
Dilon ke rang ajab rabta hai kitni der
Mazhar Imam