dilon ke mabain shak ki diwar ho rahi hai
to kya judai ki rah hamwar ho rahi hai
zara sa mujh ko bhi tajraba kam hai raste ka
zara si teri bhi tez raftar ho rahi hai
udhar se bhi jo chahiye tha nahin mila hai
idhar hamari bhi umr be-kar ho rahi hai
shadid garmi mein kaise nikle wo phul-chehra
so apne raste mein dhup diwar ho rahi hai
bas ek talluq ne meri ninden uDa rakhi hain
bas ek shanasai jaan ka aazar ho rahi hai
yahan se qissa shurua hota hai qatl-o-KHun ka
yahan se ye dastan mazedar ho rahi hai
ye log duniya ko kis taraf le ke ja rahe hain
ye log jin ki zaban talwar ho rahi hai
Ghazal
Dilon ke mabain shak ki diwar ho rahi hai
Shakeel Jamali