dilon ke dard jaga KHwahishon ke KHwab saja
bala-kashan-e-nazar ke liye sarab saja
mahak raha hai kisi ka badan sar-e-mahtab
mere KHayal ki Tahni pe kya gulab saja
koi kahin to sune tere arz-e-haal ka habs
hawa ki rehl pe aawaz ki kitab saja
wo kya talab thi tere jism ke ujale ki
main bujh gaya to mera KHana-e-KHarab saja
tamam shab tha tera hijr tera aaina-gar
tamam shab mere pahlu mein aaftab saja
na tu hai aur na main hun na wasl hai na firaq
saja sharab saja ja-ba-ja sharab saja
'ata' ye aankh dhanak manzilon ki chah mein thi
chhaTa jo abr ghani tirgi ka bab saja
Ghazal
Dilon ke dard jaga KHwahishon ke KHwab saja
Ata Shad