اردو हिंदी
Dilon ke beach badan ki fasil uTha di jae | Shaahi Shayari
dilon ke beach badan ki fasil uTha di jae

Ghazal

Dilon ke beach badan ki fasil uTha di jae

Ezaz Afzal

;

dilon ke beach badan ki fasil uTha di jae
simaT rahi hai masafat zara baDha di jae

hamari samt kabhi zahmat-e-safar to karo
tumhaari rah mein bhi kahkashan bichha di jae

bani to hogi kahin sarhad-e-garan-goshi
tumhin batao kahan se tumhein sada di jae

kisi ke kaam to aae KHulus ki KHushbu
mizaj mein na sahi jism mein basa di jae

ye sochte nahin kyun fasle tawil hue
ye puchhte hain ki raftar kyun baDha di jae

ye mahwiyat na kahin tujh se pher de sab ko
teri taraf se tawajjoh zara haTa di jae

takallufat ki pur-pech wadiyan kab tak
ba-rah-e-rast unhen dawat-e-wafa di jae

suni hain hum ne bahut tirgi pe taqriren
mile na lafz agar raushni bujha di jae

guzarne wali hawa KHud pata laga legi
zara si aag kisi rakh mein daba di jae