dilon ka soz tere ru-e-be-naqab ki aanch
tamam garmi-e-mahfil tere shabab ki aanch
sawab-e-KHuld-e-barin kya azab-e-dozaKH kya
tere KHitab ki ThanDak tere itab ki aanch
harim-e-ishq ke pardon se lau nikalti hai
ye soz-o-saz hai kis naghma-e-rabab ki aanch
lahakte sabze mein abr-e-bahaar ki masti
dahakte phul mein chhalki hui sharab ki aanch
ye kaif-e-husn ye barq-e-nigah kya kahna
laga de aag na us daman-e-sahab ki aanch
chaDha ke saghar-e-mai jagmaga uThe chehre
simaT ke aa gai sinon mein aaftab ki aanch
panah mang rahi hai hari-bhari duniya
na puchh aah-dil-e-KHa-numan-KHarab ki aanch
ye agle waqton ke hain KHush hain bagh-e-jannat mein
unhen KHabar hi nahin kya hai is sawab ki aanch
ye aa gaya hai yahan kaun kafir-e-masum
ki ThanDi paD gai dozaKH ke bhi azab ki aanch
jise samajhte hain sab mauj-e-kausar-o-tasnim
wo aaina bhi hai tapte hue sarab ki aanch
sahar ki taza-dami chaDhti dhup ki garmi
teri nigah ki ThanDak tere shabab ki aanch
ruki ruki si lab-e-shauq par hai arz-e-visal
ki phunk de na tere zauq-e-intiKHab ki aanch
yahi hai raunaq-e-garmi yahi hai raunaq-e-bazm
nigah-e-naz tere zauq-e-intiKHab ki aanch
ye raat aag laga de kahin na duniya mein
ye chandni ye hawaen ye mahtab ki aanch
shuaen phuT ke jaise faza mein gum ho jaen
chhalakte jam mein ye chashmak-e-habab ki aanch
sawar-e-ablaq-e-ayyam mausam-e-gul hai
chaman ke shoale hain ya halqa-e-rakab ki aanch
ye mehr-o-mah bhi uDte hue sharare hain
ki arsh tak hai mohabbat ke pech-o-tab ki aanch
sameT rakkhe hain ruhul-qudus ne par apne
pahunch rahi hai kahan tak is iztirab ki aanch
'firaq' waqt ke ruKH se ulaT rahi hai naqab
zamin se ta-ba-falak hai is inqalab ki aanch
Ghazal
Dilon ka soz tere ru-e-be-naqab ki aanch
Firaq Gorakhpuri