dilkashi nam ko bhi aalam-e-imkan mein nahin
apne matlab ka koi phul gulistan mein nahin
wada-e-wasl pe khinchta hua han ka lahja
ek andaz hai kahne ka tere han mein nahin
aap kahte hain ki taqdir ki gardish mein rahe
manta hun ki ye dil gesu-e-pechan mein nahin
bas kisi ka nahin sayyaad KHata kya teri
aab-o-dana meri qismat ka gulistan mein nahin
KHak hone se bana chashm-e-falak ka surma
KHaksari jo nahin KHak bhi insan mein nahin
naqsh-e-tauhid hai har naqsh-e-jabin-e-sajda
kahin kabe ka to patthar dar-e-jaanan mein nahin
pahle hi lauT tha parwana teri mahfil par
ab ye sunte hain ki bulbul bhi gulistan mein nahin
pak-bazi ki taraf jab se jhuke hain 'kaifi'
baada-noshi ka maza mahfil-e-rindan mein nahin
Ghazal
Dilkashi nam ko bhi aalam-e-imkan mein nahin
Chandar Bhan Kaifi Delhwi