dildar ki kashish ne aincha hai man hamara
hai KHak is qadam ki shayad watan hamara
ai dostan-e-jaani dil sin karo tawajjoh
ta-jaan pas apne pahunche badan hamara
gar zindagi hai baqi phir tum sin aa milenge
didar aaKHiri hai jo hai maran hamara
darya-e-muddaa ka lae hain thah jab sin
har bund ashk ka hai durr-e-adan hamara
darkar nahin hai pahren bar mein qaba-e-zinat
ye bas hai KHaksari KHaki baran hamara
sab chhoD KHanuma kun hain us ki justuju mein
hai dasht aur bayaban bagh-o-chaman hamara
manind-e-kohkan hai be-kal 'siraj' ka dil
shayad ki man lewe shirin-suKHan hamara
Ghazal
Dildar ki kashish ne aincha hai man hamara
Siraj Aurangabadi

