اردو हिंदी
Dildar hua na-KHush ab dil ka KHuda-hafiz | Shaahi Shayari
dildar hua na-KHush ab dil ka KHuda-hafiz

Ghazal

Dildar hua na-KHush ab dil ka KHuda-hafiz

nayan sukh

;

dildar hua na-KHush ab dil ka KHuda-hafiz
nazron mein laga laDne bismil ka KHuda-hafiz

KHanjar se mizha ke ye sab sina kiya zaKHmi
kuchh bas hi nahin chalta ghayal ka KHuda-hafiz

kis tarah koi jite nadan se paDa pala
be-tarah ki KHwari hai aaqil ka KHuda-hafiz

ghairon se chabaata hai yaron se bachata hai
chhute hi machalta hai chanchal ka KHuda-hafiz

apni hi wo kahta hai par aur ki nahin sunta
har ek se ulajhta hai jahil ka KHuda-hafiz

shah-e-gul ki KHabar aai aata hai liye lashkar
gulshan mein paDi khal-bal bulbul ka KHuda-hafiz

main tujh ko na kahta tha mat 'nain' buton se mil
dil de ke hua ruswa be-dil ka KHuda-hafiz