dilbari har bul-hawas ki had sin afzun mat karo
muflis-e-be-qadr kun yak-pal mein qarun mat karo
mat chaDhao aastin tum qatl karne par mere
apne daman kun abas aaluda-e-KHun mat karo
mehrbani ki tarah pahli na bhulo yak-ba-yak
bait-e-abru kun tum apni taza mazmun mat karo
lazzat-e-masti agar dil kun tumhaare hai aziz
jab talak diwana hue tab lag falatun mat karo
apne aashiq kun dikhao jalwa-e-iman-fareb
aql ki rakhta hai bu zahid kun majnun mat karo
kar diye hain aashiqon ne KHun apne kun sabil
panja-e-nazuk kun mehndi lala gulgun mat karo
chhoD diyo ta-atish-e-hasrat mein jal kar KHak hoe
lasha-e-ashiq kun marne baad madfun mat karo
aashiqon kun is do-baala kaif ki bardasht nain
KHat ki sabzi lab ki shakkar sath majun mat karo
KHud-baKHud be-KHud hua hai dekh kar tum kun 'siraj'
is qadar naz-o-ada ka sehr-o-jadu mat karo
Ghazal
Dilbari har bul-hawas ki had sin afzun mat karo
Siraj Aurangabadi

