dilbar kaha rafiq kaha chaaragar kaha
jo kuchh bhi tum ko hum ne kaha soch kar kaha
wo tum ki hum ko aaj bhi muKHlis na kah sake
aur hum ne sari umr tumhein mo'atabar kaha
ye raunaqen jahan ki mansub tum se kin
phir un tajalliyon ko harim-e-nazar kaha
pursish teri fareb tasalli teri fareb
wo dil ki baat thi jise duniya ka Dar kaha
tere nuqush-e-pa ko bataya hai kahkashan
teri gali ke zarron ko shams-o-qamar kaha
sab mutmain the dekh ke aazadiyan meri
mere zamir ne mujhe be-baal-o-par kaha
un par to koi harf na aane diya 'ziya'
jo guzri us ko gardish-e-sham-o-sahar kaha
Ghazal
Dilbar kaha rafiq kaha chaaragar kaha
Bakhtiyar Ziya