dilasa de wagarna aankh ko girya pakaD lega
tere jate hi phir mujh ko gham-e-duniya pakaD lega
safar go wapsi ka hai magar tu sath rah mere
mujhe ye KHauf hai mujh ko mera saya pakaD lega
tu apne dil hi dil mein bas mujhe aawaz deta rah
samaat ko meri warna ye sannaTa pakaD lega
nikalna ghar se bahar bhi alamat hai tasadum ki
jise tanhai chhoDegi use KHatra pakaD lega
mere khoe hue lamhe kahin se DhunD kar la do
magar hushiyar rahna panw ko rasta pakaD lega
agar main lauT jaun ishq se pahle ke aalam mein
to us ke qurb se guzra hua lamha pakaD lega
tu KHud bhi jagta rah aur mujh ko bhi jagata rah
nahin to zindagi ko dusra qissa pakaD lega
Ghazal
Dilasa de wagarna aankh ko girya pakaD lega
Mohsin Asrar