dila ye mai-kada-e-ishq hai sharab tu pi
sharab agar nahin KHun-e-dil-e-KHarab tu pi
bahe jo dhaar dam-e-tegh se na ja pyasa
sabil-e-nazr-e-shahidan yahi hai aab tu pi
ba-rang-e-shabnam-e-gul dagh-e-ishq se dil par
jo gul na khae to be-KHud na ho gulab tu pi
na aaftab-e-qayamat se Dar mai-e-gul-rang
kare chaman mein agar sair mahtab tu pi
wala ye jam-e-mai-e-nab barq-o-baran mein
jo jam-e-jam se hai mana ba-ab-o-tab tu pi
sharab jauhar-e-atish hai aql hai simab
ye le uDe hai agar us ki lae tab tu pi
rasid-e-qatra ba-dariya hai mai se bhar bhar ke
surahi-e-guhar-o-kasa-e-habab tu pi
naqab munh se uTha aaftab abr mein hai
miyan piyala jo pina hai be-hijab tu pi
hai abr-e-saya-e-rahmat gunahgaron par
piyala hoe agar rashha-e-sahab tu pi
jigar jale to na girne de aankh se aansu
ba-az-sharab ye KHun-naba-e-kabab tu pi
rahega mast tah-e-KHak daur-e-mahshar tak
'muhib' man-e-mai-e-ishq-e-abu-turab tu pi
Ghazal
Dila ye mai-kada-e-ishq hai sharab tu pi
Waliullah Muhib