اردو हिंदी
Dila nahin ye mai-e-surKH-fam shishe mein | Shaahi Shayari
dila nahin ye mai-e-surKH-fam shishe mein

Ghazal

Dila nahin ye mai-e-surKH-fam shishe mein

Mazaq Badayuni

;

dila nahin ye mai-e-surKH-fam shishe mein
bhara hai shisha-e-jaan ka qawam shishe mein

jo dun sharab ko aab-e-hayat se tashbih
to utren KHizr alaihis-salam shishe mein

KHayal dil mein hai saqi ki chashm-e-mai-gun ka
sharab jam mein hai aur jam shishe mein

shigaf-e-dil mein bhara marham-e-mai-e-angur
kiya hai kya hi karamat ka kaam shishe mein

main KHarq-e-adat-e-pir-e-mughan ka qael hun
ki baad-e-KHarq kiya iltiyam shishe mein

khula jo bazm mein mina to chandni chhiTki
ye duKHtar-e-raz hai ki mah-e-tamam shishe mein

'mazaq' milti hai in rozon waqt-e-sham sharab
rakhe hai duKHtar-e-raz ko siyam shishe mein