dila mashuq jo hota hai wo saffak hota hai
baDa be-rahm hota hai baDa bebak hota hai
KHushi hogi halak apna dil-e-sad-chaak hota hai
kahan ab aarzu ghar hasraton ka KHak hota hai
tumhaari tegh mujh se chupke chupke kahti jati hai
mubarak ho ki ye sar zinat-e-fitrak hota hai
tujhe allah ne baKHsha hai kaisa rutba-e-ali
ki tera naqsh-e-pa taj-e-sar-e-aflak hota hai
qarib aaya hai waqt ai jaan-e-jaan ab dam nikalne ka
tere kuche se hum uThte hain jhagDa pak hota hai
jo pite hain sharab un ki mohabbat mein nahin aasi
ye tar-daman wahi hain jin ka daman pak hota hai
KHayal aata hai badnami ka aashiq qatl hote hain
ki mashuqon ko nam-e-ashiqi se pak hota hai
asar se meri wahshat ke koi jama nahin sabit
main sunta hun gareban har kafan ka chaak hota hai
main kah deta hun ho aa kar zulf ke kuche mein dam-bhar ko
kisi din jab bahut muztar dil-e-ghamnak hota hai
pahunch jae haqiqat tak teri ye ghair-mumkin hai
bahut go tujh se waqif sahab-e-idrak hota hai
'rashid'-e-zar kyun KHush KHush na jae qabr ki jaanib
mayassar aaj didar-e-shah-e-laulak hota hai
Ghazal
Dila mashuq jo hota hai wo saffak hota hai
Rasheed lakhnavi