dil zaban zehn mere aaj sanwarna chahen
sab ke sab sirf teri baat hi karna chahen
dagh hain hum tere daman ke so ziddi bhi hain
hum koi rang nahin hain ki utarna chahen
aarzu hai hamein sahra ki so hain bhi sairab
KHushk ho jaen hum ek pal mein jo jharna chahen
ye badan hai tera ye aam sa rasta to nahin
is ke har moD pe hum sadiyon Thaharna chahen
ye sahar hai to bhala chahiye kis ko ye ki hum
shab ki diwar se sar phoD ke marna chahen
jaise soe hue pani mein utarta hai sanp
hum bhi chup-chap tere dil mein utarna chahen
aam se shaKHs ke lagte hain yun to tere panw
sare dariya hi jinhen chhu ke guzarna chahen
chahte hain ki kabhi zikr hamara wo karen
hum bhi bahte hue pani pe Thaharna chahen
nam aaya hai tera jab se gunahgaron mein
sab gawah apni gawahi se mukarna chahen
wasl aur hijr ke dariya mein wahi utren jo
is taraf Dub ke us or ubharna chahen
koi aaega nahin TukDe hamare chunne
hum isi jism ke andar hi bikharna chahen
Ghazal
Dil zaban zehn mere aaj sanwarna chahen
Swapnil Tiwari