dil ye KHamosh tha hum zaban mil gae
sab kahan se chale the kahan mil gae
jo itaat-paziri hui zabta
phul sahra ke bhi darmiyan mil gae
naqs ghairon ke jin ki mazammat thi ki
wo to mere hi andar nihan mil gae
sar jhukaya hi tha inkisari mein jo
mujh ko qadmon ke tere nishan mil gae
ek bashar na mila jo chale sath mein
phir jo milne lage karwan mil gae
pyas aisi ki pyasi ki pyasi rahi
is zamin ko bahut aasman mil gae
sab ayan ho gaya jo kaha bhi na tha
mujh ko aise bhi kuchh raaz-dan mil gae
ru-ba-ru jab wo bichhDe to ghamgin the
KHwab mein jo mile shadman mil gae
aatish-e-hijr mein dil sulagta raha
ruKH pe kitne hi dariya rawan mil gae
Ghazal
Dil ye KHamosh tha hum zaban mil gae
Dinakshi Sahar