dil ye karta hai aaj mera bhi
puchh le wo mizaj mera bhi
un ki dastar ke bachane mein
gir gaya sar se taj mera bhi
yun to nusKHe hazar the un par
tha maraz la-ilaj mera bhi
aaj dushman hai jaan ka meri
tha kabhi ye samaj mera bhi
mujh pe karte rahe hukumat wo
KHud pe kab hoga raj mera bhi

Ghazal
Dil ye karta hai aaj mera bhi
Rajendra Kalkal