dil ye kahta hai ki ek aalam-e-muztar dekhun
barish-e-sang mein logon ko khule sar dekhun
phir wo musi ka asa nil ka shaq ho jaana
fauj firaun ka main Dubta manzar dekhun
aaine toD ke dauDun main kisi jangal ko
apni surat ko kisi jhil ke andar dekhun
mera sab le lo mujhe ek mohabbat de do
shahr mein aisi bhi aawaz laga kar dekhun
jaanta hun ki chhupa hai wo kahin sine mein
kash is dard ki surat ko main bahar dekhun
us ne ek roz mohabbat se bulaya tha mujhe
main to har roz use apne barabar dekhun
dur tak ek hi manzar hai makanon ka 'zahir'
kis taraf jaun main kis or mera ghar dekhun
Ghazal
Dil ye kahta hai ki ek aalam-e-muztar dekhun
Ali Zaheer Lakhnavi