اردو हिंदी
Dil yahi soch ke betab hua jata hai | Shaahi Shayari
dil yahi soch ke betab hua jata hai

Ghazal

Dil yahi soch ke betab hua jata hai

Anubhav Gupta

;

dil yahi soch ke betab hua jata hai
dar-ba-dar mera har ek KHwab hua jata hai

raat-din dard ke aaghosh mein jalti sansen
ab lahu jism ka tezab hua jata hai

bahte rahte hain in aankhon se musalsal aansu
shahr-e-dil wadi-e-be-ab hua jata hai

jab bhi paDti hai khuli dhup zamin par us ki
us ka chehra koi mahtab hua jata hai

teri yaadon ki mahak aur ye halki rim-jhim
aaj bistar bhi to kam-KHwab hua jata hai

jaane kya baat hai jo aap ki qurbat pa kar
aam insan bhi nayab hua jata hai

bazm mein aap ke aane ki khabar sun sun kar
dil mera KHitta-e-shadab hua jata hai

kya karun ab main zamane se mohabbat kar ke
ye samundar bhi to payab hua jata hai

kya kahun aae dinon ganw mera fashion mein
kabhi dilli kabhi punjab hua jata hai